22 April 2011

Aisa kabhi na krna..!!!

Tum rooth jao muj se Aisa kabhi na karna,
Mai ek nazar ko tarson Aisa kabhi na karna,
Mai poch poch haaron sau sau sawal
kar k, Tum ek jawab na do Aisa kabhi na karna,
Muj se he mil k hansna
Muj se he mil k rona,
Muj se bichr k jee lo Aisa kabhi na karna,
Tum chand ban k rehna mai dekhti rahon gi,
Kisi roz jo tum na niklo Aisa kabhi na karna,
chale jao jo kahin tum Tu dekhu tumhara rasta,
Tum laut k na aao Aisa kabhi na karna,
Aisa kabhi na krna..!!!

No comments:

Post a Comment