7 April 2011

ZIKAR SHAB FARAQ SAY WASHAT USSAY BHI THI


Zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki did ka

Rasta badal ke chalane ki adat use bhi thi

Us rat der tak wo raha mahw-e-guftaguu

Masruuf main bhi kam tha faraGat use bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan

Taza rafaqaton ki zaruurat use bhi thi

Mujh se bichhar ke shahar men ghul mil gaya wo shaKhs

Halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

Wo mujh se barh ke zabt ka adi tha ji gaya

Warna har ek sans qayamat use bhi thi

No comments:

Post a Comment