26 March 2011

Jo Tumhein Dekha - Poetry

jo tumhein dekha toh maloom huwa kisse haseen kehte hein
nazar parhi toh jaana karishma-e-kudrat kisse kehte hein

lub se jarhte hein phool tere, jo sach hai woh kehte hein
rahat hai tumhari baaton mein hum bhi dil ki baat tum se kehte hein

aankhon se meh barasta hai k inhein meh ka pyaala kehte hein
jo dekhe unhein ho jaye uss se nasha , saare sharaabi yeh kehte hein

jaadu aisa jaise pari ho, yeh baat arsh se farsh tuk sub kehte hein
murrjaye woh zalim jo inn adaaon ko nazar lagaye yeh khuda se kehte hein

kissi aur se dil lagayein gey na ab sachey dil se kehte hein
maut aajaye jo kissi ko dost banayein kasam kha ker kehte hein

naheen mil paaye ga kabhi koi tum jaisa da'wey se kehte hain
jag mein nahe aisa dosti nibhaane wala, talash ker ke kehte hein

chaand falak pe hai yaqeen naheen jo sub kehte hein
aik chaand zameen pe bhi hai dil, dhadkan, zaban kehte hein

roshan ker ke jahan ko aftaab galat sub kehte hain
diya bann ker tumne dil ko roshan kiya, tajurbe se kehte hein

mil jaaye tum jaisi samjhdar, hurr mushkil mein kehte hein
haan tumne hurr mushkil aasan ki faqar se kehte hein

sunn lo zamane walon asal dost isse kehte hein
humein jo aliza mili, zindagi khili, shuker khuda ka kehte hein.... :)

No comments:

Post a Comment