nahen gila uss intezaar se jo terey deedar pe khatam ho
lekin phir bhy gawara ho woh din jo tujhe dekhe bagair khatam ho
kaheen aisa na ho ke bana anjaam yeh kahani khatam ho
anjaam sahi lagta hai haal, per khuda na kere ke aise khatam ho
mil jaye jo raza rab ki, sab ki toh shab-e-faraq khatam ho
hai waada tub tuk tujhe chahne ki waja na khatam ho
hurr shaqs yahii chahta hai ke mera pyar khatam ho
hai intezaar kub yeh sunte sunte apni saans khatam ho
koi toh sun lo meri chah iss se pehle ke zindagi khatam ho
hum bhy chahte hein ke ho magur leke hathon mein haath khatam ho
na jaane gile shiqwe ka silsila kub khatam ho
khabar hai k juld hii teri narazgi khatam ho
jo chaha nahe tha woh hone ka dukh khatam ho
itna chahne ke bawujood duriyoon ka afsos khatam ho
ab bus nazam likhne ko mawad khatam ho
ruk ja kalam na kahin parhne wale ka hausla khatam ho....
No comments:
Post a Comment